Friday, February 12, 2010

Kyun Hawa

Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi
Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher
Mauj dar mauj, behti huwi zindagi
Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai
Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain

Aa… haa ho ho… aa haa ho ho… hmm… hmm…

Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Kyun fiza, rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai
Zindagi, kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Ha ha ha ha aa…aa…, hmm.., aa ha ha ha…

Jahaan tak bhi jaayein nigaahein, baraste hain jaise ujaale -2
Saji aaj kyun hain ye raahein, khile phool kyun hain niraale
Khushbuwein, kaisi ye beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata ye kahaani hai kya
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Aa... aa...

Ye kiska hai chehra jisse main, har ek phool mein dekhta hoon -2
Ye kiski hai awaaz jisko, na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi ye aahatein aa rahi hain, kaise ye khwaab dikhla rahi hain
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Aa… aa… aa… aa aa.... aa...


No comments:

Post a Comment